Thursday, July 16, 2009

Bhala kisi ka kar na sako to...

Yadi bhala kisi ka kar na sako to, bura kisi ka mat karna
Amrit na pilaane ko ghar mein to, zahar pilaate bhi darna.

Yadi satya madhur na bol sako to, jhoot kathin bhi mat bolo,
Yadi maun rakho sabse achha, kam se kam vish to mat gholo,
Bolo to pehle tum tolo, fir mukh-tala khola karna.

Yadi bhala kisi ka kar na sako to, bura kisi ka mat karna..

Yadi ghar na kisi ka baandh sako to, jhopdiyan na jala dena,
Yadi marham-patti kar na sako to, khar namak na laga dena,
Yadi deepak ban kar jal na sako to, andhkar bhi mat karna.

Yadi bhala kisi ka kar na sako to, bura kisi ka mat karna..

Yadi phool nahi ban sakte to, kaante ban kar na bikhar jaana,
Maanav ban kar sahla na sako to, dil bhi kisi ka dukhana na,
Yadi dev nahi ban sakte to, daanav ban kar bhi mat marna.

Yadi bhala kisi ka kar na sako to, bura kisi ka mat karna

Yadi sadaachar apna na sako to, paapo mein mat pag dharna,
Kintu na kabhi shaitaan bano, aur na kabhi haivaan bano,
muni-pushp agar bhagwan nahi to, kam se kam insaan bano.

Yadi bhala kisi ka kar na sako to, bura kisi ka mat karna...